Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal
Watch All the Episodes of Dars e Bukhari | https://www.youtube.com/playlist?list=PLQ74MR5_8XifqqMqj-CSEsTT2kgVuPG2D
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://bit.ly/aryqtv
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Watch All the Episodes of Dars e Bukhari | https://www.youtube.com/playlist?list=PLQ74MR5_8XifqqMqj-CSEsTT2kgVuPG2D
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://bit.ly/aryqtv
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Bismillahirrahmanirrahim, Allah tabarak wa ta'ala ke pakiza naam se aagaz karte hain
00:26jo bahut mehrbaan nihayat rahim wala hai.
00:28Dars-e-Bukhari ka silsila Jari-e-Sari hai aur pichle program mein Hazrat-e-Jabir-e-Mina-Abdullah
00:33radhiya Allah-u-ta'ala Anhu ki hadith beyan ki thi.
00:36Wo kehte hain ki meri Walid Ghazwa-e-Uhud mein Shaheed ho gaye the.
00:39Aur unhone kuch logon se qarza liya wa tha.
00:41Un logon ne mujh par bahut zyada qarz ke mutalibah ke silsila mein shiddat ki.
00:45Toh mene Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu alaihi wa sallam se darkhas ki ki Ya Rasulullah
00:49aap sifarish meri kar dijiye.
00:50Ki wo mere darakhton ko le le.
00:53Falo ke samayt aur mere Walid sahab ko qarza muaf kar de.
00:57Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu alaihi wa sallam ne unke saamne baad beyan ki.
01:01Lekin unhone inkaar kar diya.
01:03Tab Nabi-e-Karim Sallallahu alaihi wa sallam ne mujhe bana farmaya ki na darak dena hai.
01:07Na phal dena hai, na phalwara kaatne hai.
01:10Main kal aunga.
01:11Fir Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu alaihi wa sallam meri baag mein aaye.
01:14Aur Sarkar ne darakhton ke girdek chakkar lagaya.
01:16Aur uske baad aapne barakat ki dua ki.
01:19Aur fir farmaya ki phal utaar ka unke qarza ada kar do.
01:22To maine ada kiya, un tamaam ka qarza ada ho gaya.
01:26Fir bhi mere paas phal bach gaye.
01:28To main Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu alaihi wa sallam ke paas hazir hua.
01:31Aur maine aapko aanke yeh bataya ki.
01:33Hasullah, itni Allah ne barkat di.
01:34Aapki aamat se aapki khadamain sharifain ki barkat.
01:37Aur fir phalo, aapki dua ki barkat.
01:40Ki unhe dekhe bhi bach gaya.
01:42To wahan Hazrat-e-Umar-e-Farooq radiyallahu ta'ala noon baitha huye the.
01:45Sarkar ne firmaayin, Umar suno.
01:48To Hazrat-e-Umar radiyallahu ta'ala anhu ne bhi daar-e-hadab mein kaya.
01:51Rasulullah, sunayin hum aap pehle hi jaanate hain ki aap Allah ke Rasool hain.
01:56Khuda ki qasam be shakaa Allah ke Rasool hain.
01:59To hum ispar kalam kar rahe the.
02:01Pehli baat yeh ki qarza gharah lena achi baat nahi hote.
02:04Lekar bahut sakh majburi ho to bahra liya jaa sakta hai.
02:07Aur koshish yeh karne chahiye ki hum aise azbaab aur zarai ikhtiyaar karein.
02:11Ki humein qarz ki taraf jaane ki zaruati na peshaye.
02:14Jo meri behne mujhe sun rahi hain khudara.
02:16Apne ikhrajaat ko control karein.
02:19Baad khud shohar ki salary achi hoti hai humari behne.
02:22Uski salary se kuch saving karne ka zain nahi banati.
02:26Balki inko shauf karne ka bahut shauk hota hai.
02:28Main is shadi mein purane kapde nahi pehnungi.
02:31Mujhe naya joda chahiye.
02:32Pachaso jode latke huye hain.
02:34Lekar naye naye jode, jewellery,
02:37phir beauty powder se tayyaar hona,
02:39phir sandals waghara aise zabardar zabardar.
02:41Bag bhi kapdo ki matching ke aur intihai mehngi bag
02:45taake puri maafil ke nar wawa ho jaye.
02:47Aur phir outing ho rahi hai,
02:49yahaan ghoomne jaarein, wahaan ghoomne jaarein hain.
02:52Aur is tariqat se apna life style itna high kar liya jaata hai.
02:56High standard ka kar liya jaata hai.
02:58Ki kabhi agar shohar pe bura waqt aaye,
03:00to phir isko leke chal nahin sakte.
03:02Aur phir aadmi depressed bhi hota hai.
03:04Na chakhiya hoti hain,
03:05ladai jagde, fitna, fasaad hoti hain,
03:07aur phir qarze.
03:08Bahut se logon ko main jaanta hun,
03:10ke unke jab wo life style ek bana lete hain,
03:14ab usse niche aana,
03:16unki ego hurt hoti hain isse,
03:18unki ananiyat ko thes pauchti hain,
03:21to wo mukhtalif bankon mein account khulwaate hain,
03:23aur credit card banwa kar phir unse purchasing shuru kar dete hain.
03:27Aur dikhaate rahte hain,
03:28ke bhi hum abhi bhi matab hain,
03:31dam hain hamare indar.
03:32Aur wahaan soodi qarza badta rahte hain,
03:34badta rahte hain.
03:35Aur itni buri haalat ho jaate hain,
03:37jiski koi intihai nahi.
03:39Yeh sab ghalat cheezein hoti hain,
03:40insaan ko chahiye,
03:41ke ek munasib miqdaar mein,
03:44kharj bhi karein,
03:45khayein, piyein,
03:45wazab mada nahi karta,
03:46cha libaas pehnein,
03:48lekin usme aitidal rakhein,
03:50aur kuch na kuch apne saving karke rakhein,
03:52phir usko achi jagah invest karein,
03:54taake earning ka silsila chalta rahein,
03:55to best rahta hain.
03:57Kabhi kharza maangne ki zaroorat,
03:58inshaAllah,
03:59pesh nahi aayegi.
04:00Aur isi tarah main talaba ko samjata hun,
04:03jis students waghara hote hain,
04:05ke aap apni is life mein,
04:06youngsters keh lein aap,
04:08ke apni is life mein,
04:09jab aap jawaan hain,
04:10ya bhi study karein hain,
04:13koshish karein,
04:14achha padhein,
04:15aur mehnat se padhein,
04:17awara gardiyan chhod dein,
04:18apne mabab ka paisa bhi lagate hain,
04:21phir apne aana,
04:23jaana,
04:24kiraya,
04:24bhaada,
04:25itna waqt aap dete hain,
04:27lekin phir aap awara gardiyon mein padh jaate hain,
04:29kitabon ko haath nahi lagate hain,
04:31tuition centre ka kharcha aleda gharwalon se lete hain,
04:33ke bhi isse samjh mein nahi aara,
04:35humein tuition centre jaana hoga,
04:37aur zaati mehnat pe koi bharosa nahi karte,
04:39hala ke har cheez aaj internet pe mil jaate hain,
04:42agar zarasi bhi,
04:44ek samjh rakhne wala baccha hoga na,
04:47toh apni study khud internet se complete kar sakta hain,
04:51yaani,
04:52admission waqar toh lena hain,
04:53degree milti hain,
04:55sanad hasil hoti hain,
04:56wo toh hai hain,
04:57lekin tuition centre ke zoorat nahi hain,
04:59tutor ke aaj kal zoorat nahi hain,
05:00kar samajhdaar baccha ho toh,
05:02chat,
05:03gtp waqara jo hain ye,
05:05ismein aap dekhen ke,
05:06har cheez aapko IT ke,
05:08aap bahose aisi shobhe hain,
05:10ke jir mein aapko bahot achi cheezein hasil ho jaate hain,
05:13aur free courses padhe hua hain,
05:16internet ke upar,
05:18lekin,
05:18parhaal,
05:19wo apne baba aapka paisa zaya karte hain,
05:21aur phir iske baad,
05:22baad mein tangdasti ke shikayate karte hain,
05:25phir koi choti boti naukri milti hain,
05:27phir shadi kar lete hain,
05:28aur phir wo tangdasti ke shikaro ke qarze maangne lagte hain,
05:31shuru se hi accha padein,
05:33abhi dosti hain chhod de,
05:34inshaAllah acchi job mil jaayegi,
05:36teen laag,
05:37chaar laag,
05:37der laag,
05:38do laag ki,
05:38sahib mein aur koi courses waghara bhi karein,
05:41behtreen ho jaayega,
05:42aur jo study nahin kar rahein,
05:43kisi majboori ki bina par,
05:44wo koi accha fun seekhein,
05:47koi bhi electric ka kaam seekh lein,
05:49AC ka kaam seekh lein,
05:51plumbering ka kaam seekh lein,
05:53chalein ab aap madda aur kuch nahin kar sakte yeh karein,
05:55aur iske andar mahir ho jayein,
05:57koi apne shop waghara khol lein,
05:59Allah barkat deega,
06:00kabas ka qarza to nahin maangna padega,
06:03lekin ek tabqa humara aisa hai na,
06:04pehle mehnat karte hain,
06:06jaise taise degree le rete hain,
06:08phir acchi job milegi to karein ge,
06:10warna bilkul nahin karein ge,
06:12phir yeh qarze maangte hain,
06:13aur uske bhoj tale dabte hain,
06:15ya wahi jo maine bataya hai,
06:16ki life style apne aisa kar lete hain,
06:18aur bhi kayi azbaab hote hain,
06:19majboor aadmi liye sakta hai,
06:21jaise ke inke walis sahab ne bhi liya hoga,
06:24ab uske jab adah karne ki baari aayi,
06:26toh logon ne shiddat ki,
06:28accha nabiye kareem sallalahu wasallam ne un logon ko nahin data,
06:31kyunke bahara al hukam toh yeh hai,
06:33ki agar koi tangdast ho,
06:35aur wo qarza da nahin kar raha,
06:36toh usko maulat dene chahiye,
06:38ho sakta hai wo boho zyada pehle hi maulat de chuke hu,
06:41isliye unhone shiddat se swaal kiya,
06:43aur aage hadees aayegi,
06:45ki ek shakhs ne nabiye kareem sallalahu wasallam se,
06:48kuch log the jino ne qarza diya tha,
06:50aur shiddat karna chahi,
06:51aur sahaba ne ghusay ho,
06:52ki unko rokna chaha,
06:53toh sarkar ne firmaaya ki nahin,
06:55qarz kha ko todisi wusat hoti hai,
06:58lekin baharal yeh tariqah bhi sahi nahin hai,
07:00jitne bhai, behna mein sun rahein,
07:01ki agar aapne kisi ko qarz diya hai,
07:04haan agar wo dheet kisam ka hai,
07:06ki usne qarz liya,
07:09aapne itni maulat deen,
07:10aadaayegi par qadir hai,
07:12tab bhi nahin de raha,
07:13toh phir thodi bohot shiddat ho sakti hai,
07:15lekin usme bhi apna,
07:16aap apne izzat-e-nafs ko malhooz rakhein,
07:19apna waqar na ghirayein,
07:20ki maa, behan ki gaaliyan deyin,
07:21shor, sharaba karein,
07:22cheekhde, chillayin,
07:23achi cheez nahi hoti,
07:24theek hai aap usko baar baar usko kahein,
07:27kisi ko beechmein daalne ki koshish karein,
07:29yeh aapke liye bilkul gunjaeesh hai,
07:31lekin ek hota hai ki,
07:33matlab waqi tangdast hota hai beechara,
07:36uska kaarobar nahi chal raha,
07:38ya uski job khatam ho gayi hai,
07:39accident ho gaya hai,
07:40wo pehle hi pareshan hai,
07:42depressed hai,
07:43wo sochta hoga,
07:44late kariye,
07:44mera qarza aada nahi hua,
07:46mere bhi wachon ko log tang karenge,
07:47aur aapne jaakar maa, behan ki gaaliyan bakna shuru kardin,
07:50gareebaan pakad diya,
07:52ek aad thappad bhi rasheed kar diya,
07:54poore mahalle mein shor machaya,
07:56taake iski izzat khatam ho jaye,
07:58mujhe bataayen kya hasil hua,
08:01qarza bhi hasil nahi hua,
08:03aur ab jitni usko aziyat hui,
08:04takleef hui,
08:05jitna wo logon ke saamne niklega,
08:07aur mahalle ke log,
08:08isi istara aur bade,
08:10Allah raham farmaye,
08:12musalmanon par,
08:13aur ki apne nabi ki taaleem par chalne ke liye tayyar nahi,
08:16aise qatilana alfaz aada karte hain,
08:18ki dil ke tukde tukde kar dete hain,
08:21oh bhai hum toh samjhate hain,
08:22bahot achhe aadmi hain,
08:23loot raha hain,
08:24logon ko loot ke leta hua yaha par,
08:26bata,
08:27is kisam ke jumle,
08:28aur aurton ke zabaan toh,
08:29matlab Allah raham farmaye bas,
08:32ab ye jitne guna hote rahenge na,
08:34jitni takleefin hote rahenge,
08:35sara aapke naam hain mahal mein,
08:37sab aapke naam hain,
08:38aur meydan-e-maashar mein,
08:40agar wo farz ka liye maqrooz bhi mar gaya aur tangdast tha,
08:43uski toh koi gharif nahi hoga,
08:45wo toh majboor tha,
08:46lekin aapne jo kuch kiya,
08:48aapko hisaab dena hoga,
08:49aur hisaab kaise hoga,
08:50ki aapki nekiye nikaal ke uske naam-e-amaal mein daali jayenge,
08:53aur agar wo hisaab pura nahi hoga,
08:56toh uski buraiye nikaal kar aapke naam-e-amaal mein daali jayenge,
08:59isliye mutalba karne mein masla nahi hain,
09:01aur agar koi dheet kisam ka hai,
09:03toh shiddat sakti bhi kar sakte hain,
09:04lekin majboor ko nahi kar sakte hain,
09:06aur is andaas se ki aap apne waqar ko khodein,
09:10yeh bhi bilkul theek nahi hota,
09:11ghalat cheez hai,
09:12barah unhone sakti ki,
09:14toh yeh ghabar aa gaye,
09:15unhone nabiye kareem sallallahu wasallam se awwalan arz ki,
09:18ki aap peri sifarish karnein,
09:20toh rahmat-e-qaunain sallallahu wasallam ne sifarish farmai,
09:24ab unh logon ko chahiye tha ki qabool kar letein,
09:27lekin unki bhi koi sahi masliyat hogi,
09:29unhone inkaar kiya,
09:31iska mattab yeh hua ke,
09:33yeh nabiye kareem sallallahu wasallam ka hukum nahi tha,
09:36agar sarkar hukum farma dete,
09:38toh sarkar ki baat ka radh karna,
09:40unko ho sakta Islam se bahar kar deta,
09:43imaan ke khatre ho jate,
09:44lekin sarkar ne mashwaratan unko kaha,
09:46ki aap thodi maulat dedein,
09:49ya muaaf kar dein,
09:50ya wo jo kah rahein wo lelein,
09:51unke drakht lelein,
09:52lekin unhone usko lene se inkaar kiya,
09:55iska mattab yeh ke agar koi bada mashwara deta hai,
09:58toh us mashwara ko qabool karnein ya radh karnein,
10:01dono ka ikhtiyar hota hai,
10:03mashwara aur hukum mein farqi hota hai,
10:05ke mashwara ko agar aap mana karnein,
10:08toh saamne wala na naraz ho,
10:10na dilazari ho,
10:12na wo mattab aap se iske khiraf koi amal ikhtiyar karein,
10:17yaani had jaana,
10:18door ho jaana,
10:18aisa kuch bhi nahi,
10:20toh phir yeh ek mashwara tha,
10:22aur isme guman hi hota hai,
10:23jaise baad oqat walida ne ka,
10:25beta zara jaldi aajana,
10:26aaj kal haalaat kharab hai,
10:28ab yeh hukum hai ya mashwara,
10:30walaat achitara samajh sakti hai,
10:31ki ammi toh rozana hi kahti hain,
10:33aur main der se bhi aaun,
10:34toh koi naraz nahi hoti hain,
10:35dilazari nahi hoti hain,
10:36bas waisi har maa ki yeh talqeen hoti hain,
10:39main itni badi umar ka ho gaya tha abhi,
10:41meri waalda ka kuch saal pehle intiqaal hua,
10:43toh meri waalda mujhe hameesha bahar nikalta hui kahti thi,
10:46akmal ghaadi aajsa chalana hai beta,
10:47ghaadi aajsa chalana hai,
10:48hameesha,
10:50aur uske baad kabhi pooshti nahi thi,
10:51ghaadi kaise chalai thi,
10:52toh ek mashwara hota hai,
10:53har maa bhi deti hai,
10:55toh mashwara yeh hai,
10:56aur hukum kya hai,
10:57ki aapko yaqeen hon,
10:58ki agar main nahi maanunga,
10:59yeh naraz ho jayenge,
11:01qatay taliq waqara kar lenge,
11:03yeh inki shadid dilazari hogi,
11:04toh yeh hukum hota hai,
11:06isko maana zaruri,
11:07sarkaar ne jo farmaya,
11:08ho mashwara tha,
11:09unhone mana kiya,
11:10sarkaar ne kar,
11:10theek hai,
11:11iska matlab-e,
11:12badon ke mashwara ko qabool karna,
11:13rad karna,
11:14yeh ikhtiyar hota hai,
11:15isse main guzarish karta hu,
11:16maa baap se bhi,
11:18ki hoh sakta hai,
11:18ki aapne bacche ko koi baat kahi ho,
11:21mashwaratan kahi ho,
11:22hukman nahi,
11:22aur bacche ne usko mashwara samajh ke usko qabool nahi kiya,
11:26toh baad uqaat hum naraz ho jayate hain,
11:27dil mein rakh lete hain,
11:28ki isne meri baat nahi maani,
11:30aur hum usko naraz ho jayate hain,
11:31uske liye baad uqaat maa baap,
11:33duaayen karna chhodo dete hain,
11:35uske saath ek wanfi rawayya ikhtiyar kar lete hain,
11:37uske mukabale mein,
11:38doosre bachon ko izzat dete hain usko kam,
11:41unko inaam dete hain usko nahi,
11:44unko value dete hain usko neglect karna shuru kar dete hain,
11:48nazarandaas karke aisaaz dilate hain,
11:50ki ab tumhari aahmiyat humari nigaon mein nahi,
11:51kyunki tumhne humare mashwara ko rat kiya,
11:54yeh rawayya theek nahi hai,
11:56kya nabiye karim istara naraz hua hai aap bataayen,
11:58birkul bhi nahi hua hai,
11:59aisa nahi karna chahiye,
12:01isi tariqah se yeh ek aalim ke liye,
12:04ek mufti sahib ke liye,
12:06ek deeni ustaad ke liye,
12:08ek peer ke liye yeh hukum hain,
12:10yaad rakhen,
12:11kya hum nabiye karim sallallahu wasallam se badkar hain,
12:14agar ek aalim-e-deen hain,
12:16wo mufti bhi hain,
12:17wo peer bhi hain,
12:18ustaad bhi hain,
12:19fars kar lein to dekhen sare mansab jamaa hogar,
12:21issab nabiye karim sallallahu wasallam ko bhi yeh manasib hasil the,
12:26mukhtalif jihadon se agar dekha jaye,
12:28to humare aqa sabse buland-o-bala,
12:30isske baawduj sarkar naraz nahi hua hai,
12:32to bhir hum kyun hu,
12:34baawd uqat bhaine dekha hai,
12:35peer apne murideen ko door kar dete hain,
12:37asaat-e-zaat dil mein baat rak lete hain,
12:40to unse sabakh sunna hi chhod dete hain,
12:41nazar-an-daas kar dete hain,
12:42taake,
12:43yaani,
12:43bata nahi kyu intiqami-e-kar-rawaai si nazar aati hain,
12:47main bachon ko sakti se kahunga,
12:49kya apne maabab ka ehtisab na karein,
12:51na koi shagird apne ustaadon ka karein,
12:53na koi mureed apne peeron ka karein,
12:56leki main chunke ek islahi cheez zikar kar ra hun,
12:59to mujhe ye haq hasil hai ke main zikar karun,
13:02na ye ke main bachon ko koi maadallah juratmand kar ra hun,
13:05ya baghabat par obhaar ra hun,
13:06ke wo battameeziyan karein,
13:07aap na karein,
13:09lekin ye badon ki khidmat mein,
13:10main dairaat-e-meraik-e-gudaarish kar ra hun,
13:12ke istara nahi hona chahiye,
13:14wasi-uz-zehno,
13:15wasi-uz-zarf hone chahiye,
13:17haan, agar aap koi hukum dete hain,
13:19aur wo hukum bhi shariyat ke bilkul muafiq ho,
13:21aur saamne wala na kare,
13:23us hukum ki taameel na kare,
13:25toh bilkul aapko naraad hone ka haq hai,
13:27aur baad-o-qaad toh sakhti bhi kar sakte hain,
13:29jaise ke nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya,
13:32ke jab bacha saad baras ka ho jaye,
13:33toh usko namaz ka hukum do,
13:35aur das baras ka ho jaye,
13:36toh maar kar namaz padao,
13:38yakinin maarne ki zarurat toh si waqt aayegi na,
13:41ke jab saad se lekar nau saal tak,
13:42wo aapka kainay nahi maan raha,
13:44namaze nahi pad raha,
13:45toh ab shiddat sakhti shuru kar do bhai,
13:47kyunki ab toh baligh hone wala hai,
13:55jab unhone mana kar diya,
13:56toh nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne musse farmaya,
13:59ke aap koi draft waghara na kaatein,
14:00koi phal waghara na utaarein,
14:02main kal aata hun,
14:02sarkar aaye aur aapne ek mohrsa dikhaya,
14:05ye ab yeh do riwayat hain,
14:06aapko shayad yaad ho jo regular humari hadith se sun raha hain,
14:09ek riwayat mein aapne dekha,
14:11ke unhone ne kaha tha,
14:12ke maine khajoor ka dheer lagaya hua tha,
14:14nabi-e-karim aaye us khajoor ke dheer par baid gaye,
14:16aur aapne farmaya ke qars khaon ko bulao,
14:18aur tol tol kar dete raho,
14:20aur main deta raha,
14:22aur jab sarkar us dheer se uthe,
14:26toh utna hi dheer maujood tha,
14:28hala ke sara qarz ada ho gaya tha,
14:30ek riwayat yeh hain,
14:31aur raavi bhi hazrat-e-jabir radhiya Allah-u-taala anho hi hain,
14:35aur ek riwayat yeh hain,
14:37ho sakta hai yeh do waqe hun,
14:39toh is tariqah se taawil phir karte hain,
14:41lekin is mein kya hua,
14:42ke rahmat-e-kaunain drakhton ke gird ghumein,
14:45iske baad aapne barakat ke dua ki,
14:47aur farmaya ab phal utaar kar inka qarza ada karo,
14:50toh us riwayat ke mutaabik,
14:52wo phal kam the aur qarzdaaron ka qarza bhot zyada tha,
14:55lekin yeh sare phal poore ho gaye,
14:57iska matlab yeh hua,
14:58ke anbiya alaihim-us-salaam ki dua badi ba-barakat hoti hai,
15:03aur wo jab dua karte hain,
15:04toh Allah-u-taala asbaab ka chunke taabe nahi hain,
15:10usne yeh duniya aalam-ul-asbaab banai hai,
15:13yeh aalam-ul-asbaab hai,
15:15aalam-ul-asbaab ke matlab yeh hai,
15:17ke yeh har cheez ke liyek waseela bana diya hai,
15:20bacha peyda hoga maabab ke waseela se,
15:23sehat milegi ghiza ke waseela se,
15:25beemaar ho jaayenge toh dawa ke waseela se hoti hai,
15:29istara wasaail, zaraa-e,
15:31do cheezon ka taalluk qaim kar diya,
15:33lekin Allah-u-taala iska muhtaaj nahi,
15:36anda ho usko dikha de Allah-u-taala,
15:39yeh usko taaqat hasil hai,
15:40behra ho usko sunwa de,
15:41yeh Allah-u-taala ko taaqat hasil hai,
15:43yeh peydaaishi goonga ho usko bolne ki taaqat ataa farma de,
15:46bilkul chote chote bacche bol hai,
15:49Yusuf-ul-Aslam ki gawahi bacche ne di,
15:51Juraij-e-Aabid jo tha uski gawahi chote bacche ne di,
15:55Azrat-e-Isa A.S.S. ne jhoole ke andar logon se kalam farmaya,
15:59bilkul chote se munne the kalam farmaya,
16:01Allah-u-taala asbaab ka muhtaaj nahi hai,
16:04usne asbaab bana hai hai,
16:05hamaari aasani aur suhulat ke liye,
16:07taake hamein cheezon samajh mein aaye,
16:09ki Allah-u-taala isse fauq hai,
16:11liyaaza jo apne nabiyon ko mu'jizaat ata farmata hai,
16:14wo aisa hi hote hain ki wo aqal mein aata hi nahi hain,
16:18mu'jiza ko mu'jiza,
16:19mu'jiza ka matlab hata hai aajiz kar dene wala,
16:22ki ek to aql-ein uski haqiqat ke idraaq se aajiz ho jati hain,
16:25doosra mad-e-muqabil ko aajiz kar deti hain,
16:27koi aisa karke bata hai,
16:28koi kari nahi sakta hai yeh mu'jiza,
16:30aur yaad rakhe hain ki isi ka ek aqs hota hai karamat,
16:35mu'jiza nabi se saadir hota hai,
16:36aur karamat kisi bhi nabi ke ummati se jo momin hota hai,
16:41aarif billah hota hai,
16:42Allah-na usko mansab-e-wilayat ata farmaya hota hai,
16:45usse bhi aise khaariq-e-aadat af'aal ka sudur hota hai,
16:50ab chunki nabi se koi aisa fil-sarza do,
16:52jiska muqabil lane se aam log aajiz aaja hain,
16:55usko mu'jiza kehte hain,
16:56to usko mu'jiza to nahi kehenge,
16:57usko karamat ka naam diya gaya,
16:59lekin yaad rakhe hain ki har wali ki karamat nabi ka mu'jiza hota hai,
17:03kyunki nabi ke waseela se usko saara faiz hasil hota hai,
17:06aur yeh quran mein maujood hain,
17:07do waqiat mashoor hain,
17:09hazrat-e-sulaiman a.s. ne malka-e-bilqis ke takht ko uske aane se pehle
17:14apne mahal mein lane ke baare mein rishaat farmaya,
17:17to ek bada ifreet jinn khada hua,
17:20ki main usko laa dunga,
17:21kitni deera mein laa oge,
17:22farmaya aap asmaan ki taraf dekhen,
17:23aapki nigah neeche nahi aayegi,
17:25ki yeh takht saamne hoga,
17:26o maadrat,
17:27usne jinn ne yeh kaha,
17:29ki aapka ijlaas khatam nahi hoga,
17:33darbaar ka ijlaas hota tha,
17:35to yeh darbaar khatam nahi hoga,
17:36ki main liyaoonga,
17:37aur wo zuhur se asar,
17:38yasar se maghrib tha,
17:40lekin Asab bin Barkhiya r.a jo wali the,
17:43us zamane ke,
17:44hazrat-e-sulaiman a.s. ke darbaar mein rehte the,
17:47unhone arz kiye,
17:48ki bas aap asmaan ki taraf dekhen,
17:49nigah jhukaayen,
17:50takht aapke saamne hoga,
17:52aur bilkut saamne maujood tha,
17:54aisa hi hua,
17:55yeh karamat hoti hai,
17:57aisa hi Bibi Maryam r.a anha,
18:00jab unki waladan ne aapko waqf kar diya,
18:02baith-ul-muqaddas ki khidmat ke liye,
18:04to hazrat-e-Zakariya a.s. jo inke khaalu the,
18:07wo jab inke paas namaas ki jagah par aatein,
18:10jisko Quran ne mehraab se tabir kiya hai,
18:12to dekhte ke be mausmi phal rakhe hoon aapin,
18:15aap firmaatein,
18:16Maryam yeh kahaan se aaye,
18:17wo kehtein yeh Allah ne bheje hain yeh,
18:19yeh bhi karamat hoti hai,
18:20karamat thi,
18:21aur yeh waqe-e-Quran mein maujood hai,
18:22isbhi inshaAllah mazeed kalaam karenge,
18:24next program wa aakhiru da'awana,
18:26anilhamdulillahi rabbil alameen.